aadmī ik tazād-e-bāham hai
kabhī jannat kabhī jahannam hai
ġham hai ik ne.amat-e-ḳhudāvandī
jitnā barto usī qadar kam hai
iltifāt aap kā bajā lekin
kyā ḳhushī hai ki aañkh pur-nam hai
bujh rahe haiñ charāġh-e-dair-o-haram
dil jalāo ki raushnī kam hai
ab kisī se gila nahīñ mujh ko
apnī duniyā hī apnā aalam hai