mohabbat meñ sukūñ mahrūmiyoñ ke ba.ad aatā hai
ki jab har aasrā miT jaa.e tab dil chain paatā hai
ḳhud apnā hī lahū āvāz ko rañgīñ banātā hai
kuchal jaatā hai jab dil tab kahīñ naġhma sunātā hai
ye kyā jabr-e-mashiyat hai ye kyā jabr-e-sadāqat hai
ki jis ko ham bhulānā chāhte haiñ yaad aatā hai
ye kyā zid hai ki duniyā bhī rakho aur jī na mailā ho
ye duniyā ḳhush hī tab hotī hai jab dil TuuT jaatā hai
karam kaisā yahāñ to narm lahje se bhī dahshat hai
tabī.at ḳhush to ho jaatī hai par dil thartharātā hai