hiqārat se na dekho dil ko jām-e-jam bhī kahte haiñ
isī ḳhāk-e-tapāñ ko fātah-e-ālam bhī kahte haiñ
ye dil kī dāstān-e-muztarib hai jis ko duniyā meñ
kahīñ aañsū kahīñ motī kahīñ shabnam bhī kahte haiñ
kabhī ke ik tabassum ko sajā rakkhā hai hoñToñ par
bahut se to use parvarda-e-mātam bhī kahte haiñ
masarrat ke pujārī tujh ko ye ishrat mubārak ho
ye duniyā hai masarrat ko yahāñ par ġham bhī kahte haiñ
zamāna kah rahā hai tum ne gulshan hī miTā Daalā
muravvat bartaraf lo aaj aisā ham bhī kahte haiñ