chaTTān ke saaye meñ khaḌā soch rahā huuñ
maiñ āb-e-ravāñ kis ke liye Thahr gayā huuñ
paanī meñ chamaktā hai koī mehrbāñ saaya
shaffāf samundar hoñ use chuum rahā huuñ
patthar ne pukārā thā maiñ āvāz kī dhun meñ
maujoñ kī tarah chāroñ taraf phail gayā huuñ
ik siip to le aayā thā paanī meñ utar kar
maanā ki use ret pe ab pheñk chukā huuñ
sahrā-e-havas apnī taraf khīñch rahā hai
maiñ andhe samundar kī taraf dekh rahā huuñ