safed-posh darindoñ ne gul khilā.e the
zamīn surḳh huī sabz karne aa.e the
samajh liyā thā jinheñ maiñ ne raushnī kā safīr
vo āstīn meñ ḳhanjar chhupā ke laa.e the
musāfiroñ ko ghanī chhāñv le ke baiTh ga.ī
daraḳht raah ke donoñ taraf lagā.e the
mujhe bhī chāroñ taraf tishnagī ne dauḌāyā
mirī nigāh pe āb-e-ravāñ ke saa.e the
mujhe ġhurūr hai maiñ dostoñ kī nekī huuñ
unheñ ḳhushī hai ki dariyā meñ Daal aa.e the
mire aziiz the vo qabr khod ke rakh dī
mujhe jo de ga.e miTTī vo sab parā.e the
havā to apnā qarīna badal nahīñ saktī
charāġh aap ne kis zo.am meñ jalā.e the