Abdur Rahim Nashtar

ghair-abaad ilaqe ki faza kaisi hai

Abdur Rahim Nashtar

ġhair-ābād ilāqe kī fazā kaisī hai
dil se uThtī hai jo rah rah ke sadā kaisī hai
mere pairoñ se lipaTtī hī rahī mauj-e-ravāñ
ret se kar na sakī mujh ko judā kaisī hai
TuuT kar aa.ī hai lahrā.ī hai chāroñ jānib
ye barastī hī nahīñ kaalī ghaTā kaisī hai
pattiyāñ dhuup meñ kumhlā ga.iiñ phīke hue rañg
chhāñv utrī hī nahīñ āb-o-havā kaisī hai
baasī phūloñ ko na jhulsā.e to sūraj kaisā
taaza kaliyāñ na khilā.e to sabā kaisī hai
kyuuñ nahīñ girte saroñ pe ye havā ke neze
ġharq kartī hī nahīñ mauj-e-fanā kaisī hai
zard alfāz kā zahrīlā bhayānak aaseb
mere ghar chhoḌ ga.ī merī sadā kaisī hai
shahr-e-afsūñ mujhe āvāz de patthar kar de
maiñ ise dekh to luuñ merī ḳhatā kaisī hai
Top Urdushayar.com