TuuT kar der talak pyaar kiyā hai mujh ko
aaj to is ne hī sarshār kiyā hai mujh ko
vo mahaktā huā jhoñkā thā ki neze kī anī
chhū ke guzrā hai to ḳhūñ-bār kiyā hai mujh ko
maiñ bhī tālāb kā Thahrā huā paanī thā kabhī
ek patthar ne ravāñ dhaar kiyā hai mujh ko
mujh se ab us kā taḌapnā nahīñ dekhā jaatā
jis ne chaltī huī talvār kiyā hai mujh ko
maiñ bulandī se use dekh rahā huuñ 'nashtar'
jis ne pastī kā gunahgār kiyā hai mujh ko