Abdur Rahim Nashtar

panchhiyon ke ru-ba-ru kya zikr-e-nadari karun

Abdur Rahim Nashtar

panchhiyoñ ke rū-ba-rū kyā zikr-e-nādārī karūñ
pañkh TuuTe hī sahī uḌne kī tayyārī karūñ
chhoḌ jā.ūñ apne pīchhe ālam-e-hairat tamām
maut ke pahlū meñ chhup kar sho.abada-kārī karūñ
nāchtī hai jumbish-e-añgusht par vo fāhisha
zindagī kah kar jise ḳhud se riyā-kārī karūñ
sabz paudoñ kī taraf baḌhne lagī sarkash havā
us ke kapḌe noch luuñ thoḌī gunāh-gārī karūñ
nannhī-munnī koñpaloñ ko rañg-o-nik.hat chāhiye
kuchh havā kā ḳhauf kuchh mausam kī dildārī karūñ
gungunāte shoḳh panchhī lahlahātī khetiyāñ
nit-na.e ḳhvāboñ se nam āñkhoñ meñ gul-kārī karūñ
marsiya apnā sunā.ūñ shahr-e-nā-pursāñ ke beach
pattharoñ se aur kyā ummīd-e-ġham-ḳhvārī karūñ
Top Urdushayar.com