Rizwan Ahmad Raz

aankhon mein meri KHwab basar hone laga hai

Rizwan Ahmad Raz

Fatehpur, Uttar pradesh, India

1983
āñkhoñ meñ mirī ḳhvāb basar hone lagā hai
shāyad tirā nīñdoñ se guzar hone lagā hai
juz tere sabhī se mujhe hone lagī vahshat
itnā tirī chāhat kā asar hone lagā hai
yuuñ dast-e-masīhā.ī rakhā zaḳhmoñ pe tū ne
har zaḳhm mirā rashk-e-qamar hone lagā hai
shāyad mire kamre meñ bhī ab raushnī aa.e
paidā mirī dīvār meñ dar hone lagā hai
talḳhī ye kahāñ kī tire lahje meñ dar aa.ī
har lafz tirā sīna-sipar hone lagā hai
vo aag lagā.ī hai tire hijr ne dil meñ
har lamha judā.ī kā sharar hone lagā hai
ab 'rāz' chhupā.e nahīñ chhuptī mirī vahshat
zāhir pe bhī bātin kā asar hone lagā hai
Top Urdushayar.com