hijr terā terī qurbat kā bahāna ho gayā
yaad meñ terī hamārā aanā jaanā ho gayā
aaj tujh ko ġhair ke hamrāh ḳhush dekhā to phir
ġham jo thā tujh se bichhaḌne kā tavānā ho gayā
umr bhar sahrā-navardī kā huā anjām ye
rafta rafta dil meñ vahshat kā Thikāna ho gayā
sañg-bārī meñ tasalsul kā natīja ye huā
tañg aa kar dil mirā ā.īna-ḳhāna ho gayā
dekhte hī dekhte tujh se ta.alluq ke sabab
maiñ hujūm-e-shahr meñ ik din yagāna ho gayā