haqīqatoñ ko yahāñ ḳhvāb likkhā jaatā hai
yahāñ añdheroñ ko mahtāb likkhā jaatā hai
amīr-e-shahr kā irshād bantā hai aḳhbār
so tishna-lab ko bhī sairāb likkhā jaatā hai
kisī ko miltī hai kashtī kisī ko parvāreñ
hamāre hisse meñ girdāb likkhā jaatā hai
hamārī chīḳh pe dhartā nahīñ hai kaan koī
tumhārī uf pe bhī ik baab likkhā jaatā hai
maiñ pūchhtā huuñ hazāroñ savāl us se magar
javāb meñ faqat ādāb likkhā jaatā hai
maiñ ek aise safar par huuñ dosto ki jahāñ
musībatoñ ko bhī asbāb likhā jaatā hai