na jaane kab basar hue na jaane kab guzar ga.e
ḳhushī ke intizār meñ jo roz-o-shab guzar ga.e
har aane vaale shaḳhs kā dabāv merī samt thā
maiñ rāste se haT gayā to sab ke sab guzar ga.e
mire liye jo vaqt kā shu.ūr le ke aa.e the
mujhe ḳhabar hī tab huī vo lamhe jab guzar ga.e
samundaroñ ke sāhiloñ pe ḳhaak uḌ rahī hai ab
jo tishnagī kī aab the vo tishna-lab guzar ga.e
magar vo tere bām-o-dar kī azmatoñ kā paas thā
tirī galī se be-adab bhī bā-adab guzar ga.e
vafūr-e-imbisāt meñ kise raheñge yaad ham
agar jahān-e-rañg-o-bū se be-sabab guzar ga.e
bajā hai terā ye gila ki maiñ bahut badal gayā
dar-asl mujh pe hādse hī kuchh ajab guzar ga.e
kahīñ kahīñ to raah bhī ḳhud ek sadd-e-rāh thī
magar ham aise saḳht-jāñ ba-nām-e-rab guzar ga.e
huī na qadar mehr kī ḳhulūs rā.egāñ gayā
rah-e-vafā se 'rashk' ham vafā-talab guzar ga.e