ḳhizāñ kī baat na zikr-e-bahār karte haiñ
to log kaise ġhamoñ kā shumār karte haiñ
ye ahl-e-shahr jise ḳhāksār karte haiñ
bagūla kah ke use be-viqār karte haiñ
abhī hameñ kisī manzil kī justujū hī nahīñ
safar barā.e-safar iḳhtiyār karte haiñ
ye kis ke vasl kī ḳhushbū hai rahguzāroñ meñ
ki log shām-o-sahar intizār karte haiñ
agarche bār-e-samā.at haiñ shab ke sannāTe
koī sune to use hoshiyār karte haiñ
kuchh aur sham.eñ jalānā paḌeñgī mahfil meñ
abhī añdhere ujāloñ pe vaar karte haiñ
hameñ bhī 'rashk' duāoñ se mudda.ā mil jaa.e
yahī duā hai jo ham baar baar karte haiñ