dast-e-talab darāz ziyāda na kar sake
ham zindagī se koī taqāzā na kar sake
chūñki karam pe ham tire shubha na kar sake
bas ai ḳhudā gunāh se tauba na kar sake
jab e'tibār-e-zauq-e-nazar bhī na mil sakā
nazroñ ko apnī vaqf-e-nazāra na kar sake
tū jab qarīb-e-jāñ bhī qarīb-e-nazar bhī thā
ham bhī ba-zo.am-e-ishq i.aada na kar sake
phir to tirā ḳhayāl bhī aayā nahīñ kabhī
phir ham tirī talab bhī gavāra na kar sake