ye jo ik sail-e-fanā hai mire pīchhe pīchhe
mere hone kī sazā hai mire pīchhe pīchhe
aage aage hai mire dil ke chaTaḳhne kī sadā
aur mirī gard-e-anā hai mire pīchhe pīchhe
zindagī thak ke kisī moḌ pe ruktī hī nahīñ
kab se ye ābla-pā hai mire pīchhe pīchhe
apnā saaya to maiñ dariyā meñ bahā aayā thā
kaun phir bhaag rahā hai mire pīchhe pīchhe
paañv par paañv ko rakhtā hai chalā aatā hai
mirā naqsh-e-kaf-e-pā hai mire pīchhe pīchhe
merī tanhā.ī se Takrā ke palaT jā.egī
ye jo ḳhushbu-e-qabā hai mire pīchhe pīchhe
maiñ to dauḌā huuñ ḳhud apne hī ta.āqub meñ 'farīd'
chāñd kyuuñ bhaag paḌā hai mire pīchhe pīchhe