Habeeb Ahmad Siddiqui

jabin-e-nawaz kisi ki fusun-gari kyun hai

Habeeb Ahmad Siddiqui

Seohara, Uttar pradesh, India

1908
jabīñ-e-navāz kisī kī fusūñ-garī kyuuñ hai
sarisht-e-husn meñ is darja dilkashī kyuuñ hai
kisī kī saada jabīñ kyuuñ banī hai sehr-tarāz
kisī kī baat meñ ejāz-e-īsvī kyuuñ hai
kisī kī zulf-e-mo.ambar meñ kyuuñ hai gīrā.ī
fidā-e-gesū-e-mushkeñ ye zindagī kyuuñ hai
tire shi.ār-e-taġhāful pe zindagī qurbāñ
tire shi.ār-e-taġhāful meñ dilkashī kyuuñ hai
kahīñ ziyā-e-tabassum na ho karam-farmā
jumūd-e-qalb meñ haijān-e-zindagī kyuuñ hai
ye kab kahā hai ki tum vaj.h-e-shorish-e-dil ho
ye pūchhtā huuñ ki dil meñ ye bekalī kyuuñ hai
nigāh-e-nāz ki vābasta-e-jigar thī kabhī
batā fareb-e-tamannā ki sarsarī kyuuñ hai
bhaTak bhaTak ke maiñ nākām-e-justujū hī rahā
ḳhamosh mere liye sham-e-rahbarī kyuuñ hai
hayāt-o-maut na apnī na maiñ hī ḳhud apnā
mire vajūd pe ilzām-e-zindagī kyuuñ hai
rag-e-hayāt meñ dauḌā ke barq-e-sartābī
ḳhatā-muāf ye ilzām-e-ḳhud-sarī kyuuñ hai
bisāt-e-dahr sahī jalva-gāh-e-husn-e-azal
nigāh-e-shauq fuġhāñ-sanj-e-tishnagī kyuuñ hai
Top Urdushayar.com