faiz pahuñche haiñ jo bahāroñ se
pūchhte kyā ho dil-nigāroñ se
āshiyāñ to jalā magar ham ko
khelnā aa gayā sharāroñ se
kyā huā ye ki ḳhuuñ meñ Duubī huī
lapTeñ aatī haiñ lāla-zāroñ se
un meñ hote haiñ qāfile pinhāñ
dil-shikasta na ho ġhubāroñ se
hai yahāñ koī hausle vaalā
kuchh payām aa.e haiñ sitāroñ se
ham se mehr-o-vafā kī baat karo
hosh kī baat hoshyāroñ se
kū-e-jānāñ ho dair ho ki haram
kab mafar hai yahāñ sahāroñ se