ḳhizāñ-nasīb kī hasrat ba-rū-e-kār na ho
bahār sho.abada-e-chashm-e-intizār na ho
fareb-ḳhurda-e-ulfat se pūchhiye kyā hai
vo ek ahd-e-mohabbat ki ustuvār na ho
nazar ko tāb-e-nazāra na dil ko jur.at-e-dīd
jamāl-e-yār se yuuñ koī sharmsār na ho
qabā-darīda-o-dāmān-o-āstīñ ḳhūnīñ
guloñ ke bhes meñ ye koī dil-figār na ho
na ho sakegā vo ramz-āshnā-e-kaif-e-hayāt
jo qalb chashm-e-taġhāful kā rāzdār na ho
tarīq-e-ishq pe hañstī to hai ḳhirad lekin
ye gumrahī kahīñ manzil se ham-kanār na ho
na ta.ana-zan ho koī ahl-e-hosh mastoñ par
ki zo.am-e-hosh bhī ik ālam-e-ḳhumār na ho
vo kyā batā.e ki kyā shai umiid hotī hai
jise nasīb kabhī shām-e-intizār na ho
ye chashm-e-lutf mubārak magar dil-e-nādāñ
payām-e-ishva-e-rañgīñ salā-e-dār na ho
kisī ke lab pe jo aa.e naved-e-zīst bane
vahī hadīs-e-vafā jis pe e.atibār na ho
jo do-jahān bhī māñge to maiñ ne kyā māñgā
vo kyā talab jo ba-qadr-e-atā-e-yār na ho