Habeeb Ahmad Siddiqui

nawed-e-amad-e-fasl-e-bahaar bhi to nahin

Habeeb Ahmad Siddiqui

Seohara, Uttar pradesh, India

1908
naved-e-āmad-e-fasl-e-bahār bhī to nahīñ
ye be-dilī hai ki ab intizār bhī to nahīñ
jo bhuul jaa.e koī shaġhl-e-jām-o-mīnā meñ
ġham-e-habīb ġham-e-rozgār bhī to nahīñ
marīz-e-bāda-e-ishrat ye ik jahāñ kyuuñ hai
surūr-e-bāda ba-qadr-e-ḳhumār bhī to nahīñ
matā-e-sabr-o-sukūñ jis ne dil se chhīn liyā
vo dil-navāz adā-āshkār bhī to nahīñ
qafas meñ jī mirā lag to nahīñ gayā hamdam
ki ab vo nāla-e-be-iḳhtiyār bhī to nahīñ
hai ain vasl meñ bhī pur-ḳharosh-e-parvāna
sukūn-e-qalb ba-āġhosh-e-yār bhī to nahīñ
nigāh-e-nāz ki be-gāna-e-mohabbat hai
sitam to ye hai ki be-gāna-vār bhī to nahīñ
vo ek rahbar-e-nādāñ ki jis ko ishq kaheñ
Dubo ke kashtī-e-dil sharmsār bhī to nahīñ
junūñ ko dars-e-amal de ke kyā kare koī
ba-qadr-e-hausla-e-dil bahār bhī to nahīñ
Top Urdushayar.com