Habeeb Ahmad Siddiqui

mujhko dimagh-e-shewan-o-ah-o-fughan nahin

Habeeb Ahmad Siddiqui

Seohara, Uttar pradesh, India

1908
mujh ko dimāġh-e-shevan-o-āh-o-fuġhāñ nahīñ
ik ātish-e-ḳhamosh huuñ jis meñ dhuāñ nahīñ
kis sādgī se kahte ho ham rāz-dāñ nahīñ
vo kaun sā hai raaz jo tum par ayaañ nahīñ
vo dushman-e-sukūn-e-dil-o-jāñ yahī na ho
ma.asūm sī nigāh ki jis par gumāñ nahīñ
hai aag sī lagī huī rag rag meñ kyā kahūñ
ik chashm-e-intizār hī yaañ ḳhūñ-chakāñ nahīñ
yuuñ dekhtā huuñ barq ko allāh re be-dilī
jaise kahīñ chaman meñ mirā āshiyāñ nahīñ
is chashm-e-nāz kī koī dekhe fusūñ-garī
bār-e-hayāt bhī mujhe ab to garāñ nahīñ
ai mast-e-nāz mashq-e-sitam is se bhī sivā
ai zauq-e-dard haif agar jāvedāñ nahīñ
ai dil sar-e-niyāz ko kyā qaid-e-sañg-o-dar
ka.aba hī kyā burā hai jo vo āstāñ nahīñ
kī fursat-e-hayāt tirī justujū meñ sirf
ai vaa.e gar hunūz-e-vafā kā gumāñ nahīñ
Top Urdushayar.com