shikast-e-āsmāñ ho jā.ūñgā maiñ
zamīñ ko oḌh kar so jā.ūñgā maiñ
ḳhalāoñ meñ mujhe DhūñDā karoge
nazar se duur jab ho jā.ūñgā maiñ
taḌap jis kī banā detī hai pāgal
vo yād-e-ham-safar ho jā.ūñgā maiñ
tumhārī aañkh ho jā.egī zaḳhmī
jahāñ kī gard meñ kho jā.ūñgā maiñ
mire sajde kabhī rusvā na hoñge
tumhārā sañg-e-dar ho jā.ūñgā maiñ
tirī sahrā-navardī par hañseñge
vo jañgalī phuul jo bo jā.ūñgā maiñ
guzar kar dasht se 'sālim' junūñ ke
safar kī aabrū ho jā.ūñgā maiñ