kuchh bhī dushvār nahīñ azm-e-javāñ ke aage
āshiyāñ bante ga.e barq-e-tapāñ ke aage
zindagī naġhma-e-dil-kash hai magar ai nādāñ
tū ne sīkhā hī nahīñ āh-o-fuġhāñ ke aage
qissa-e-bazm-e-tarab tazkira-e-mausam-e-gul
ḳhuub haiñ yuuñ to magar soḳhta-jāñ ke aage
ham haiñ aur fasl-e-ḳhizāñ fasl-e-ḳhizāñ hai aur ham
ham se kyā pūchhte ho fasl-e-ḳhizāñ ke aage
dastaras aql kī hai sarhad-e-idrāk sahī
manzileñ aur bhī haiñ vahm-o-gumāñ ke aage
zahmat-e-yak-nigah-e-lutf kabhī to ai dost
ham ko kahnā hai bahut lafz-o-bayāñ ke aage
yuuñ to dozaḳh meñ bhī hañgāme bapā haiñ lekin
phīke phīke se haiñ āshob-e-jahāñ ke aage