vo dard-e-ishq jis ko hāsil-e-īmāñ bhī kahte haiñ
siyah-baḳhtoñ meñ us ko gardish-e-daurāñ bhī kahte haiñ
jo āġhosh-e-hayā meñ ek dil-āvez nashtar hai
isī mauj-e-nazar ko gulshan-e-ḳhandāñ bhī kahte haiñ
hijābāt-e-nazar jalvoñ kī bebākī se kyā uTTheñ
mohabbat kī nazar ko dīda-e-hairāñ bhī kahte haiñ
na khulvā.eñ zabāñ achchhā yahī hai hazrat-e-zāhid
ki is tark-e-talab ko hasrat-e-isyāñ bhī kahte haiñ
kisī ke vāste sarmāyā-e-duniyā-o-dīñ Thahreñ
vahī nazreñ jinheñ ġhārat-gar-e-īmāñ bhī kahte haiñ
jo dil māmūra-e-sad-hasrat-o-yās-o-tamannā hai
ta.ajjub hai usī ko ḳhāna-e-vīrāñ bhī kahte haiñ
ġhalat-andāz sī nazreñ tabassum be-niyāzāna
taġhāful-keshiyoñ ko dāvat-e-armāñ bhī kahte haiñ
jahān-e-āb-o-gil ko jis ne zauq-e-zindagī baḳhshā
use ai hazrat-e-nāseh dil-e-nādāñ bhī kahte haiñ
hai jis ke dam se duniyā-e-mohabbat jannat-e-armāñ
usī jān-e-tarab ko fitna-e-daurāñ bhī kahte haiñ