duniyā ko rū-shanās-e-haqīqat na kar sake
ham jitnā chāhte the mohabbat na kar sake
sāmān-e-gul-faroshī-e-rāhat na kar sake
rāhat ko ham sharīk-e-mohabbat na kar sake
yuuñ kasrat-e-jamāl ne luuTī matā-e-dīd
taskīn-e-tishna-kāmī-e-hairat na kar sake
ab ishq-e-ḳhām-kār hī armāñ ko de javāb
ham un ko be-qarār-e-mohabbat na kar sake
be-mehriyoñ se kaam rahā go tamām-umr
be-mehriyoñ ko sahne kī aadat na kar sake
kuchh aisī iltifāt-numā thī nigāh-e-dost
hote rahe tabāh shikāyat na kar sake
nākāmiyāñ to farz adā apnā kar ga.iiñ
ham haiñ ki e'tirāf-e-hazīmat na kar sake
faḳhr-e-munāsibat meñ tirā naam le liyā
ham ḳhud hī pardā-dārī-e-ulfat na kar sake
har-chand hāl-e-dīda-o-dil ham kahā kiye
tashrīh-e-kaifiyāt-e-mohabbat na kar sake
aflāk par to ham ne banā.īñ hazār-hā
ta.amīr koī dahr meñ jannat na kar sake
hamsā.egī-e-zāhid-e-bad-ḳhū ke ḳhauf se
parvardigār terī ibādat na kar sake