na betābī na āshufta-sarī hai
hamārī zindagī kyā zindagī hai
fareb-e-ārzū khā.eñ to kyuuñ kar
taġhāful hai na begāna-vashī hai
faroġh-e-ishq hai mahrūmiyoñ se
vafā-keshī ba-qadr-e-nā-rasī hai
mire qasr-e-tamannā kī nigahbāñ
nigāh-e-nāz kī begānagī hai
mohabbat ke sivā jaada na manzil
mohabbat ke sivā sab gumrahī hai
mohabbat meñ shikāyat kyā gila kyā
mohabbat bandagī hai bandagī hai
ḳhudā bar-haq magar is ko kareñ kyā
butoñ meñ sad-fusūn-e-dilbarī hai
mujhe nafrat nahīñ jannat se lekin
gunāhoñ meñ ajab ik dilkashī hai
na do hūr-o-mai-o-kausar ke ta.ane
ki zāhid bhī to āḳhir aadmī hai