kahīñ thī raakh kahīñ thā dhuāñ kahīñ thī aag
falak Dhakā thā sitāroñ se jab zamīñ thī aag
jame hue lab-o-ruḳhsār bhī dahak rahe the
hisār-e-mausam-e-barfāb meñ hasīñ thī aag
hudūd-e-jism se bāhar nikal ke sard lagī
quyūd-e-jism meñ thī jab tak thī bar-tarīñ thī aag
adāvatoñ meñ na.e rañg bhar rahā thā vo
baġhal meñ saañp the aur zer-e-āstīñ thī aag
tirā TheThurtā badan bhī bujhā sakā na mujhe
kuchh aise bar-sar-e-sahn-e-badan makīñ thī aag
shab-e-visāl kā ahvāl pūchhnā mat dost
pas-e-qabā-e-ġhazab itr-ambarīñ thī aag
kamāl-e-kun ne rakhā pyaas meñ jamāl-e-āb
nahīñ thā jab kahīñ paanī kahīñ nahīñ thī aag
safar kā bojh barābar rahā hai donoñ par
jahāñ jahāñ bhī thā paanī vahīñ vahīñ thī aag
vajūd-e-lams kī lazzat se nā-shanās rahā
vo haath sard thā 'haidar' mirī jabīñ thī aag