ye aur baat ki aage havā ke rakkhe haiñ
charāġh rakkhe haiñ jitne jalā ke rakkhe haiñ
nazar uThā ke unheñ ek baar dekh to lo
sitāre palkoñ pe ham ne sajā ke rakkhe haiñ
kareñge aaj kī shab kyā ye sochnā hogā
tamām kaam to kal par uThā ke rakkhe haiñ
kisī bhī shaḳhs ko ab ek naam yaad nahīñ
vo naam sab ne jo mil kar ḳhudā ke rakkhe haiñ
unheñ fasāne kaho dil kī dāstāneñ kaho
ye ā.īne haiñ jo kab se sajā ke rakkhe haiñ
ḳhulūs dard mohabbat vafā ravādārī
ye naam ham ne kisī āshnā ke rakkhe haiñ
tumhāre dar ke savālī baneñ to kaise baneñ
tumhāre dar pe to kāñTe anā ke rakkhe haiñ