Abdul Aziz Khalid

takid karo zamzama-sanjaan-e-chaman ko

Abdul Aziz Khalid

1927-2010
tākīd karo zamzama-sanjān-e-chaman ko
bechain hoñ dil jin se vo naġhme na alāpo
ai ahl-e-vatan! khaao piyo shauq se lekin
khelo na kabhī sar se kabhī muñh se na bolo
har tā.ir-e-parrāñ ke par-o-bāl karo qaiñch
har banda-e-āzād ko shīshe meñ utāro
ban jaa.e rivāyat na kahīñ halqa-e-zanjīr
har rafta ko maujūd kī mīzān pe tolo
pursān-e-pareshānī-e-insāñ nahīñ koī
qismat kī girah nāḳhun-e-tadbīr se kholo
kyuuñ sarf-e-nazar karte ho anjām se apne
qudrat to taraf-dār kisī kī nahīñ logo!
ham to haiñ faqat dil-zada-e-zauq-e-tamāshā
rum ham se abas karte ho ai zohra-nigāho!
ham chashm-e-sahar, dīda-e-shab, dast-e-sabā haiñ
parda to hai nā-mahramoñ se lāla-azāro!
vo qaum ki naam is kā musalmān hai 'ḳhālid'
kyā yaad hai shart antum-ul-a.alaun kī us ko?
Top Urdushayar.com