Abdul Aziz Khalid

naKHchir hun main kashmakash-e-fikr-o-nazar ka

Abdul Aziz Khalid

1927-2010
naḳhchīr huuñ maiñ kashmakash-e-fikr-o-nazar kā
haq mujh se adā ho na dar-o-bast-e-hunar kā
maġhrib mujhe khīñche hai to roke mujhe mashriq
dhobī kā vo kuttā huuñ ki jo ghaaT na ghar kā
dabtā huuñ kisī se na dabātā huuñ kisī ko
qaa.el huuñ musāvāt-e-banī-nau-e-bashar kā
har chiiz kī hotī hai koī āḳhirī had bhī
kyā koī bigāḌegā kisī ḳhāk-basar kā
dil-gīr to be-shak huuñ pe naumīd nahīñ huuñ
raushan hai dil-e-shab meñ diyā nūr-e-sahar kā
poshīda nahīñ mujh se koī jazr-o-mad-e-shauq
mahram huuñ sadā dilbar-e-añgeḳhta-bar kā
zindāñ o salāsil se sadāqat nahīñ dabtī
hai shān-e-ka.ī silsila bas raqs-e-sharar kā
tasvīr koī bantī dikhā.ī nahīñ detī
kiyā sarfa abas ham ne kiyā ḳhūn-e-jigar kā
kyā shuġhl-e-shajar kaar hai afkār se behtar
saudā sar-e-shorīda meñ gar ho na samar kā
kyuuñ sar-ḳhush-e-raftār na ho ho qāfila-e-mauj
rahzan kā hai andesha na ġham zād-e-safar kā
Daalī hai sitāroñ pe kamand ahl-e-zamīñ ne
zohra kā vo afsūñ na fasāna vo qamar kā
har baat hai 'ḳhālid' kī zamāne se nirālī
bāshinda hai shāyad kisī duniyā-e-digar kā
Top Urdushayar.com