Abdul Aziz Khalid

main baat kaun se pairaya-e-bayan mein karun

Abdul Aziz Khalid

1927-2010
maiñ baat kaun se pairāya-e-bayāñ meñ karūñ
jo sochtā huuñ use kis zabān meñ likhūñ
katar diye haiñ zamāne ne pañkh ḳhvāboñ ke
bharā hai sāġhar-e-hasrat meñ ārzūoñ kā ḳhuuñ
nahīñ hai kushta-e-ḳhūbāñ kā ḳhūñ-bahā koī
ai ahl-e-shauq na khaao fareb harf-e-fusūñ
kabhī hai chāñd kā haala naqāb-e-lāla kabhī
anīle rañg dikhātī hai zulf-e-ġhāliya-gūñ
zamām-e-rāhila-e-dil ḳhirad ke haath meñ do
ki mārtī hai havas is navāh meñ shab-ḳhūñ
ab is ko ḳhāna-ḳharābī kaho ki māmūrī
zamīñ meñ saath ḳhazāne ke dhañs gayā qārūñ
banū-tamīm ho tum maiñ salāma-bin-jindal
bilā-javāz tumhārī sanā maiñ kaise karūñ
parindgān-e-bayābāñ kareñ vasīla jise
maiñ us amiin ke ḳhirman ke ḳhosha-chīnoñ meñ huuñ
shahīd-e-ilm bhī huuñ zinda-e-mohabbat bhī
ba-faiz-e-zauq-e-salīm-o-tabī.at-e-mauzūñ
sharīk-e-zumra-e-mehnat-kashāñ hai shā.ir bhī
bahā-e-sad-nafas-e-ḳhūñ-chakāñ hai ik mazmūñ
anāḌī-pan na kaho merī sāda-lauhī ko
huuñ nau-niyāz magar kuhna-mashq-e-jazb-o-junūñ
balā-e-jabr bhī hai pā-e-iḳhtiyār bhī hai
qusūr-vār huuñ maiñ yā sadā-e-kun-fayakūñ
darā-e-farra-e-farhañg dekho rañg-e-suḳhan
abul-kalām nahīñ maiñ abul-ma.ānī huuñ
Top Urdushayar.com