hoñ kyuuñ na munkashif asrār past-o-bālā ke
jame haiñ paañv zamīñ par sar āsmāñ ko chhue
jo sarnavisht meñ hai us ko ho ke rahnā hai
to kis bharose pe insān jidd-o-jahd kare
ab āsmāñ se sahīfe nahīñ utarte magar
khulā huā hai dar-e-ijtihād sab ke liye
zabāñ atā kare sher un kī be-zabānī ko
jo apne karb kā iz.hār kar nahīñ sakte
bahār-o-bahjat-o-izz-o-vaqār us pe nisār
zabāñ se maal se jaañ se jo zālimoñ se laḌe
hai āñsuoñ meñ shifā kaisī kyā ḳhabar us ko
bahā.e makr se jo jhūT-mūT ke Tasve
hai bas-ki kaam ham aisoñ kā bhī masīhā.ī
ham āsmān pe zinda uThā.e jā.eñge