Abdul Aziz Khalid

zamin-nazhad hain lekin zaman mein rahte hain

Abdul Aziz Khalid

1927-2010
zamīñ-nazhād haiñ lekin zamāñ meñ rahte haiñ
makāñ nasīb nahīñ lā-makāñ meñ rahte haiñ
vo Dol Dāleñ kisī kār-e-pā.edār kā kyā
jo be-sabātī-e-umr-e-ravāñ meñ rahte haiñ
ham aise ahl-e-chaman gosha-e-qafas meñ bhī
hisāb-e-ḳhār-o-ḳhas-e-āshiyāñ meñ rahte haiñ
na būd-o-bāsh ko pūchho ki ham faqīr-manash
suḳhan ke ma.abad-e-be-sā.ebāñ meñ rahte haiñ
kahāñ talāsh karoge hameñ ki ham to mudām
huzūrī-e-dil-e-be-ḳhānumāñ meñ rahte haiñ
nashe kī lahr meñ ḳhum ḳhum luñDhā ke āb-e-hayāt
sarāb-e-zindagī-e-jāvedāñ meñ rahte haiñ
na.ī mohabbateñ 'ḳhālid' purānī dostiyāñ
azāb-e-kashmakash-e-be-amāñ meñ rahte haiñ
Top Urdushayar.com