Abdul Aziz Khalid

qurb nas nas mein aag bharta hai

Abdul Aziz Khalid

1927-2010
qurb nas nas meñ aag bhartā hai
vasl se iztirāb baḌhtā hai
maiñ faqat ek ḳhvāb thā terā
ḳhvāb ko kaun yaad rakhtā hai
aaj kī shab shab-e-qayāmat hai
dil mirā be-tarah dhaḌaktā hai
faqr kyā hai ba-dost pevastan
ġham kā irfāñ hai āgahī kyā hai
maiñ milātā huuñ sher-o-ātish ko
fan mujhe kīmiyā kā aatā hai
tosha-e-rāh-e-ishq hai andoh
ġham diloñ ko qarīb laatā hai
sher-e-tāza hai tohfa-e-shā.er
mushk-e-nāfa hiran ne uglā hai
qillat-e-kulfat-o-takalluf meñ
rāhat-e-qalb-e-nā-shakebā hai
aish-e-nā-pā.edār par nāzāñ
aadmī kitnā bholā-bhālā hai
jaan kā sarfa ho to ho lekin
sarf karne se ilm baḌhtā hai
kise pās-e-marātib-e-alfāz
hashr-e-ma.anī se qatl barpā hai
pā ke ġhāfil kahīñ na Das le tumheñ
Daro us se jo tum se Dartā hai
maqsad isbāt-e-zāt hai us se
kyā gale kā sabab bhī hotā hai
sachche taḳhlīq-kār kī mānind
ūñghtā hai ḳhudā na sotā hai
āb-o-rañg-e-hayāt hai us se
aarzū jāgtoñ kā sapnā hai
mere maulā-karīm ne mujh ko
ġhair-matbūa zehn baḳhshā hai
yuuñ lage jaise parda-e-sīmīñ
aañkh kyā ruuh kā darīcha hai
kis ne dekhā hai parda-e-zulmāt
dil ke bhedoñ ko kis ne paayā hai
kaun mar kar dobāra zinda huā
kaun mulk-e-fanā se lauTā hai
kar ke yaksar mujhe nazar-andāz
kis se dil ham-kalām rahtā hai
bāvajūd-e-fishār-e-shab hama-shab
husn har sub.h taaza hotā hai
har bun-e-mū banā hai parda-e-sāz
dil ke tāroñ ko kis ne chheḌā hai
baat abdul-azīz-'ḳhālid' kī
dāstān-e-amīr-hamza hai
Top Urdushayar.com