Abdul Aziz Khalid

phuli hai shafaq go ki abhi sham nahin hai

Abdul Aziz Khalid

1927-2010
phūlī hai shafaq go ki abhī shaam nahīñ hai
hai dil meñ vo ġham jis kā koī naam nahīñ hai
kis ko nahīñ kotāhī-e-qismat kī shikāyat
kis ko gila-e-gardish-e-ayyām nahīñ hai
aflāk ke saa.e tale aisā bhī hai koī
jo said-e-zabūñ māya-e-ālām nahīñ hai
chhilkoñ ke haiñ ambār magar maġhz nadārat
duniyā meñ musalmāñ to haiñ islām nahīñ hai
īmāñ nahīñ momin kā mukāfāt-e-amal par
ummīd-e-karam kyā tama-e-ḳhām nahīñ hai
masjid ho ḳharābāt ho yā kū-e-butāñ ho
is qalb-e-tapāñ ko kahīñ ārām nahīñ hai
ai māh-visho lāla-ruḳho vasl kī ham ko
ḳhvāhish to hai be-shak magar ibrām nahīñ hai
kaifī haiñ mai-e-nāb-e-ḳhum-e-mehr-shuda ke
ham ko talab-e-durd-e-tah-e-jām nahīñ hai
lafzoñ ke dar-o-bast pe har-chand ho qādir
shā.er nahīñ jo sāhab-e-ilhām nahīñ hai
har baat hai 'ḳhālid' meñ pasandīda o matbū
ik pairvī-e-rasm-o-rah-e-ām nahīñ hai
Top Urdushayar.com