Abdul Aziz Khalid

qaza se qarz kis mushkil se li umr-e-baqa humne

Abdul Aziz Khalid

1927-2010
qazā se qarz kis mushkil se lī umr-e-baqā ham ne
matā-e-zindagī de kar kiyā ye qarz adā ham ne
hameñ kis ḳhvāb se lalchā.egī ye pur-fusūñ duniyā
khurach Daalā hai lauh-e-dil se harf-e-mudda.ā ham ne
kareñ lab ko na ālūda kabhī harf-e-shikāyat se
shi.ār apnā banāyā sheva-e-sabr-o-razā ham ne
ham us ke haiñ sarāpā adbadā kar us se kyā māñgeñ
uThāyā hai kabhī ai mudda.ī dast-e-duā ham ne
shahīdān-e-vafā kī manqabat likhte rahe lekin
na kī arzī ḳhudāoñ kī kabhī hamd-o-sanā ham ne
parakhne vaale parkheñge isī me.aar par ham ko
jahāñ se kyā liyā ham ne jahāñ ko kyā diyā ham ne
vahī insāñ jahāñ jaao vahī hirmāñ jidhar dekho
bapā-e-ḳhufta kī sayyāhī-e-mulk-e-ḳhudā ham ne
luTā zauq-e-safar bhī kārvāñ kā aise lagtā hai
sunā har taaza pesh-āhañg kā shor-e-darā ham ne
sitam-ārāo sun lo āḳhirī bardāsht kī had tak
sahā har nā-ravā ham ne sunā har nā-sazā ham ne
ye duzdīda nigāheñ haiñ ki dil lene kī rāheñ haiñ
hamesha dīda-o-dānista khaa.ī hai ḳhatā ham ne
kashākash ham se pūchhe koī nā-āsūda ḳhvāhish kī
hasīnoñ se bahut bāñdhe haiñ paimān-e-vafā ham ne
kiyā takmīl-e-naqsh-e-nā-tamām-e-shauq kī ḳhātir
jau tum se ho sakā tum ne jau ham se ho sakā ham ne
'irāqī' kī tarah 'ḳhālid' ko kyuuñ badnām karte haiñ
na dekhā koī aisā ḳhush-navاa-e-benavā ham ne
Top Urdushayar.com