bhūloñ unheñ kaise kaise kaise
vo lamhe jo tere saath guzre
hai rāh-numā jibillat un kī
be-his nahīñ mausamī parinde
ai dānish-var mafar nahīñ hai
iqrār-e-vajūd-e-kibriyā se
jaanā koī kārsāz bhī hai
TuuTe ban ban ke jab irāde
mehrāb umuud burj qauseñ
ras meñ Duube bhare bhare se
bahr-e-kāfūr meñ talātum
bhoñrā baiThā kañval ko chūse
chāk-e-ufqī harīm-e-zohra
rah rah ke madan tarañg jhalke
jhilmil jhilmil badan kā sonā
lahrā.eñ laTeñ kamar se nīche
kyā chāñd sī sūrateñ banā.īñ
qurbān ai niilī chhatrī vaale