nashāt-e-ārzū kā aur kyā anjām likkhūñgā
use bhī ik-na-ik din hasrat-e-nākām likkhūñgā
mirī rūdād-e-dil kī ibtidā tum intihā bhī tum
tumhārā tazkira kaise barā.e-nām likhūñgā
qalam kī raushnā.ī jaane kyā ilzām de mujh ko
maiñ apnī sub.h ke aurāq par jab shaam likkhūñgā
kitāb-e-ishq jab bhī zindagī likhvā.egī mujh se
vafā ke baab meñ pahle tumhārā naam likkhūñgā
tirī furqat meñ khoyā maiñ tirī qurbat meñ kyā paayā
na ye taklīf likkhūñgā na vo ārām likkhūñgā
mirī sub.heñ ḳhafā hoñ yā hoñ bargashta mirī shāmeñ
diyā hai dopahar ne jo mujhe in.aam likkhūñgā
sar-e-mizhgāñ jo aḳhtar ban ke chamke the 'na.īm-aḳhtar'
maiñ apnī zindagī un āñsuoñ ke naam likkhūñgā