sach to ye hai ki use dhuup ne garmāyā thā
haañ vo paudā jo tirī chhāñv meñ kumhlāyā thā
raat kis ne mirī tanhā.ī ko mahkāyā thā
bū-e-gul aa.ī thī yā terā ḳhayāl aayā thā
dekhne vaale vo manzar nahīñ bhūle ab tak
maiñ kabhī aap kī āñkhoñ meñ nazar aayā thā
kitne qissoñ ko diyā janm tire ashkoñ ne
maiñ bahut ḳhush thā ki dāman mirā kaam aayā thā
kuchh ḳhayāl aayā sarāboñ meñ bhaTakne vaale
kis kī āvāz ne dariyā pe tujhe laayā thā
ab to behtar hai yahī kuchh bhī na yaad aa.e 'na.īm'
mausam-e-gul meñ kise khoyā thā kyā paayā thā