Ambar Kharbanda

zamane-bhar se juda aur ba-kamal koi

Ambar Kharbanda

zamāne-bhar se judā aur bā-kamāl koī
mire ḳhayāloñ meñ rahtā hai be-misāl koī
na jaane kitnī hī rātoñ kā jāgnā Thahrā
mire vajūd se uljhā hai jab ḳhayāl koī
tumhīñ batāo ki phir guftugū se kyā hāsil
javāb hone kī zid kar le jab savāl koī
karam ke baḳhsh diyā tū ne mushkiloñ kā pahāḌ
ab is pahāḌ se rasta magar nikāl koī
guzārne the yahī chaar din guzār diye
na koī rañj na shikva na ab malāl koī
hamāre saath duā.eñ bahut thiiñ apnoñ kī
kabhī sukūn se guzrā magar na saal koī
Top Urdushayar.com