jahāñ meñ har bashar majbūr ho aisā nahīñ hotā
har ik raahī se manzil duur ho aisā nahīñ hotā
ta.alluq TūTne kā ġham kabhī ham se bhī pūchho tum
tumhārā zaḳhm hī nāsūr ho aisā nahīñ hotā
gavāhoñ ko to bik jaane kī majbūrī rahī hogī
hameñ bhī faisla manzūr ho aisā nahīñ hotā
mohabbat jurm hai to phir sazā bhī ek jaisī ho
koī rusvā koī mash.hūr ho aisā nahīñ hotā
kitāboñ kī haiñ ye bāteñ kitāboñ hī meñ rahne do
koī muflis kabhī masrūr ho aisā nahīñ hotā
koī misra agar dil meñ utar jaa.e ġhanīmat hai
taġhazzul se ġhazal bharpūr ho aisā nahīñ hotā
kabhī piitā hai 'amabar' zindagī ke ġham bhulāne ko
vo har shab hī nashe meñ chuur ho aisā nahīñ hotā