abhī us tak kahāñ pahuñchā samundar
vo apnī zaat meñ aisā samundar
zamīñ oḌhe hai merī sabz chādar
mire āñchal meñ hai niilā samundar
mujhe bādal kī mahmil meñ biThā ke
tumhāre shahr tak laayā samundar
mirā pairāya-e-iz.hār dekheñ
maiñ huuñ miTTī havā sho.ala samundar
mujhe mahdūd zehnoñ se shikāyat
bahut achchhā lagā phailā samundar
mohabbat kī jahāñ barsī hai shabnam
diloñ ke ho ga.e sahrā samundar
mujhe kyā tajraba kam pāniyoñ kā
ki merā shauq hai gahrā samundar
samajh letā hai ye sab dil kī bāteñ
purāne dostoñ jaisā samundar