jab bhī vo āsmāñ-janāb aa.e
saaya kartā huā sahāb aa.e
harf miTne lage haiñ zehnoñ se
phir koī sāhib-e-kitāb aa.e
jab ko Duube hue zamāna huā
yaad kuchh aise āftāb aa.e
zindagī bahr-e-be-karāñ hī sahī
ham to bas sūrat-e-habāb aa.e
jaise ḳhālī makāñ pe dastak ho
dar-o-dīvār se javāb aa.e
varaq-e-zindagī palaTte rahe
kāmrānī kā koī baab aa.e
saare mazmūñ mohabbatoñ par hoñ
kaash aisā koī nisāb aa.e
merī nārāzgī Thahar na sakī
haath meñ le ke vo gulāb aa.e