zikr jis kā sahar-o-shām se vābasta hai
raushnī zehn kī us naam se vābasta hai
jaise zarra kabhī sūraj ke muqābil aa jaa.e
yuuñ mirā naam tire naam se vābasta hai
din ke sahrā meñ bahut der se shaam aatī hai
us se milne kī duā shaam se vābasta hai
dard-mandī bhī mohabbat bhī ravādārī bhī
kaam kitnā dil-e-nākām se vābasta hai
zindagī zad pe rahī shauq-e-ziyā-pāshī meñ
ye rivāyat bhī mire naam se vābasta hai