ahd-e-hāzir ne jo Thukrāyā bahut
vo purānā daur yaad aayā bahut
kyā milā merī tabāhī par unheñ
ḳhanda-zan hai merā ham-sāya bahut
aish-o-ishrat meñ to ham bhūle rahe
dukh musībat meñ vo yaad aayā bahut
ho mubārak lazzat-e-ifrāt-e-ġham
hai ye arzānī garāñ-māya bahut
chhat nahīñ mere makāñ meñ to na ho
āsmāñ kā hai mujhe saaya bahut
ḳhushk khetoñ par faqat garjā kiye
aur dariyāoñ pe barsāyā bahut
jis pe paḌ jaa.e vahī 'mahmūd' ho
hai pasandīda mirā saaya bahut