karam-navāzo ne koshish hazār kī hai to kyā
mire nasīb meñ rāhat nahīñ likhī hai to kyā
tavañgarī ho ki iflās chaar din kī hai
ye zindagī hai to kyā hai vo zindagī hai to kyā
abas hai faḳhr sunā kar fasāna-e-aslāf
vo shakl aaj nahīñ hai kabhī rahī hai to kyā
jab ek kār-e-numāyāñ na kar sake koī
to phir hazār baras kī bhī zindagī hai to kyā
kareñ hazār jatan rahbarān-e-rāh-e-sulūk
fazā hī dushman-e-īmān-o-āgahī hai to kyā
gañvā dī daulat-e-uqbā husūl-e-duniyā meñ
vahāñ kī ḳhair manā.eñ yahāñ sabhī hai to kyā
use shikastagī-e-dil pasand hai 'mahmūd'
shikastagī se na Dariye shikastagī hai to kyā