nahīñ kam afv-e-yazdānī bahut hai
gunāhoñ par pashemānī bahut hai
koī to hādisa guzrā hai dil par
shab-e-ġham aaj nūrānī bahut hai
diloñ par tah-ba-tah zulmat ke parde
jabīñ par nūr-e-īmānī bahut hai
idhar hī tishna-e-dīdār kam haiñ
udhar to jalva-sāmānī bahut hai
kise raas aa.e saudā-e-mohabbat
munāfe.a kam pareshānī bahut hai
zabāñ hai rahn-e-zikr-e-hūr-o-ġhilmāñ
ḳhayāl-e-pāk-dāmānī bahut hai
karo 'mahmūd' qismat par qanā.at
jo mil jaa.e ba-āsānī bahut hai