pise haiñ dil ziyāda-tar hinā se
chalā do gaam bhī jab vo adā se
vo but aa.e idhar bhī bhuul kar raah
duā ye māñgtā huuñ maiñ ḳhudā se
hijāb us kā huā shab māne-e-dīd
naqāb ulTī na chehre kī hayā se
ishāra ḳhanjar-e-abrū kā bas thā
mujhe maarā abas teġh-e-jafā se
bahut bal khā rahī hai zulf-e-jānāñ
bachegī jaan kyuuñ kar is balā se
hai behtar ik karishme meñ hoñ do kaam
madīne jā.ūñ rāh-e-karbalā se
ḳhudā jab be-talab bar laa.e maqsad
uThā.ūñ kyuuñ na haath apne duā se
'nizām' ab uqda-e-dil kyuuñ na hal hoñ
mohabbat hai tujhe mushkil-kushā se