hijr-e-jānāñ meñ jī se jaanā hai
bas yahī maut kā bahāna hai
kyuuñ na barsā.eñ ashk dīda-e-tar
ātish-e-ishq kā bujhānā hai
ho adū jis pe kījiye ehsān
kuchh ajab tarah kā zamāna hai
yaad dilvā ke dāstān-e-visāl
āshiq-e-zār ko rulānā hai
rakh dilā roz-o-shab umīd-e-visāl
rañj-e-furqat agar bhulānā hai
jaan jaatī hai jis jagah sab kī
usī kūche meñ apnā jaanā hai
koī dam meñ adam ko huuñ raahī
aa agar tujh ko ab bhī aanā hai
ḳhāk-sārī na chhoḌnā 'ra.anā'
ek din ḳhaak hī meñ jaanā hai