Mardan Ali Khan Rana

tegh-e-nigah-e-dida-e-KHun-Khaar nikali

Mardan Ali Khan Rana

Moradabad, Uttar pradesh, India

-1879
teġh-e-nigah-e-dīda-e-ḳhūñ-ḳhār nikālī
kyuuñ aap ne ushshāq pe talvār nikālī
bhūle haiñ ġhazālān-e-haram raah ḳhatā se
tum ne ajab andāz kī raftār nikālī
dhaḌkā mire naale kā rahā murġh-e-sahar ko
āvāz shab-e-vasl na zinhār nikālī
har ghar meñ kahe rakhte haiñ kohrām paḌegā
gar laash hamārī sar-e-bāzār nikālī
āḳhir mirī turbat se ugī hai gul-e-nargis
kyā bād-e-fanā hasrat-e-dīdār nikālī
maiñ vasl kā saa.il huuñ na va.ade kā talab-gār
bātoñ meñ abas aap ne takrār nikālī
jal jā.egā ye ḳhirman-e-hastī abhī ai dil
siine se agar āh-e-sharar-bār nikālī
dil le ke bhī 'ra.anā' kā kiyā paas na afsos
kuchh hasrat-e-dil tū ne na ayyār nikālī
Top Urdushayar.com