Mardan Ali Khan Rana

le qaza ehsan tujh par kar chale

Mardan Ali Khan Rana

Moradabad, Uttar pradesh, India

-1879
le qazā ehsān tujh par kar chale
ham tire aane se pahle mar chale
kūcha-e-jānāñ meñ jaanā hai zarūr
chāhe aarā sar pe yā ḳhanjar chale
bas ye hai kū-e-butāñ kī sarguzisht
sar pe mere saikḌoñ patthar chale
kū-e-jānāñ kā na paayā kuchh nishān
ḳhizr ke ham-rāh ham din bhar chale
paa.ī tere dar pe aa kar zindagī
o masīhā khā ke ham Thokar chale
dekhiye dekheñge kyā roz-e-jazā
yaañ bashar aa.e vahāñ bā-shar chale
ho ḳhizāñ kyūñ-kar na gulshan kī bahār
jab yahāñ bād-e-sabā sar-sar chale
bazm se jaate ho duzdīda-nazar
nīm-bismil kar chale kyā kar chale
qaul-e-vā.iz ne na kuchh tāsīr kī
kushta-e-kākul pe kab mantar chale
ḳhuuñ tirī tirchhī nigāhoñ ne kiyā
laakh ḳhanjar ek kushte par chale
farsh par hai yuuñ ḳhirāmāñ rashk-e-māh
arsh par jaise koī aḳhtar chale
kab huī saudā-e-mizhgāñ se shifā
nashtaroñ par saikḌoñ nashtar chale
Top Urdushayar.com